Azadi-Gully Boy ,Ranveer singh & Aliya(Song Rap 2019)
Share this
Video Source
Azadi
Bhukhmari se, azadi
Haan bhed bhaav se, azadi
Haan pachhwaad se, azadi
Hum leke rahenge, azadi
Tum kuchh bhi kar lo, azadi
Azadi..
Ho tera pinjra mein jaal ni khana
Parindeya ne udd jaana tera pinjra
Tera mukk jaana sara lana baana
Parindeya ne udd jaana tera pinjra x (2)
Freedom, freedom
Haan bahut baithe chup chaap
Kya ghante ka insaaf
Desh kaise hoga saaf
Inki neeyat mein hai daag
Sirf karte rahenge baat
Alag shakal wohi jaat
Vote milne par yeh khaas
Phir gayab poore saal
Haan mera bhai hai to
Noton ki sarkaar hai na
Note se banate apne beton ko
Yeh star hain na
Kitne bekaar kyun yeh
Aapas mein jhankar hai na
Baaki poora desh doobe
Inki naiya paar hai na
Achchi vidya chahiye
Achcha khaasa maal dena
Nal mein paani chahiye
Khade reh le line mein na
Zameen apni par note dikha kar sign lena
Drugs laaye yeh phir
Dhakel denge crime mein na
Akela insaan phir gaadi teri chaar kyun?
Ghar mein hai chaar phir rooms tere 8 kyun?
Paison se nai bante kudrat se hum khaas kyun?
Teri peedhi ka soch woh kaise lenge saans kyun?
Kya shu
Ek tarfa tarazo
Kya shu
Aa teri hansi mere aansu
Kya shu
Aa ghut ghut ke kyun saans loon
Kya shu
Usse dega kya hisaab tu?
Ho tera pinjra mein jaal ni khana
Parindeya ne udd jaana tera pinjra
Tera mukk jaana sara lana baana
Parindeya ne udd jaana tera..
Aa nahi ban’na mujhe Slumdog Millionaire
Yeh slumdog hai mission pe
Sidham ke keede chhode inke apne kafan pe
Bachpan se chhura rakha hai
Inhone apne gardan pe
Mastak mein yeh likhte galat
Seekhte galat, chheenkte halak
Par kisi ko parwah nahi
Yeh saitaan hain insaan nahi
Dharam ke naam pe kaam nahi
Dharam banaya insaan hi
Paison ke liye yeh tha sabhi
Dimaag lada kar jaan ke bhi
Dhasne laga tu kaan ka bhi
Istemaal kar tu zabaan ka bhi
An-dekha ka kyun hai jaan ke bhi
An-dekha ka kyun hai jaan ke bhi
Sachai mein tu sama kabhi
Achai se tu kama kabhi
Iss gandh ko karna saaf abhi
Iss gandh ko karna saaf abhi
Iss gandh ko karna saaf abhi
Kya shu
Ek tarfa tarazo
Kya shu
Aa teri hansi mere aansu
Kya shu
Aa ghut ghut ke kyun saans loon
Kya shu
Usse dega kya hisaab tu haan?
Haan, ho bolo azadi
Bolo azadi
Ho bolo azadi
Ho bolo azadi
Ho bolo azadi
Give me freedom