Talha Anjum – Downers At Dusk Lyrics | Prod. by UMAIR

0
Share this

Talha Anjum – Downers At Dusk Lyrics | Prod. by UMAIR 

Written & Performed by Talha Anjum

Produced by UMAIR

Mixed & Mastered by Jokhay

Video Source.

Talha Anjum – Downers At Dusk Lyrics.

[Verse 1]

Ghum be hisaab the

Alag he wafa ke zaabte

Alag he hain agar manzilein to kyun na alag he rakhein hum raastay

Kyun na aaj se

Mita dein ye kismat hum haath se

Aur zehen azaad ho yaad se

Ham mit jayen jaa milein khaak se

Tere sheher bhi aye par safar se khatam na huay ye faaslay

Zakham bharen na baray be-reham se pesh aye hain haadsay

Baat se baat nikali ke tere dil pe lag jaye meri baat koi

Tu toot’tay taaro pe mange mujhе tujhe mayasar ho еsi raat koi

I’ve been working a lot

Likhna nahi chhorta likhna he tod hai

Biktе hain ye gaanе lakho main

Kya ye sab paise ka shor hai?

Kal sath na honge par yaad to hogi or bolo na zindagi kya hai

Yaadon ki maala ha yaadon ke ilawa kabhi kuch baaki raha hai

Kisi ne kya khoob kaha ha tere darmiyan bas tu he khada hai

Jhukao zaroori hai

Usse zaahir hota hai ke tu he bada hai

Jisse gaye hue khudse zamana hua woh tum main bhatakta hai

Mein khud nahi hun ye koi or hai mujhme jo tumko tarasta hai

Wujood ek tamasha tha hum jo dekhte the woh bhi ek tamasha hai

Hai mere dil ki guzarish ke mujhe mat choro ye jaan ka takaza hai

Ham zindagi dhoondte dhoondte maut ke muh main he jaatay rahay

Par hum thehray kalakaar

Khoj main bhi gun’gunatay rahay

 

[Chorus]

Ao na

Ke tum he to ho jeenay ki wajah

Ke bethay bethay kr he dee subha

Na tu aya na he tera hai pata

Hmmm

Sahiba

Mein lene aya hu teri khabar

Tu dekh le jo ab meri taraf

To ho khatam meri bhi ye saza

Hmmm

 

[Verse 2]

Tum Meri yaadon main saath ho

Tum jaakay bhi mere paas ho

Tumhare he dum se zinda

Mar gaya jo tumse fursat ho

Tum meri kitabon ki tarha ho

Tum saamne ho lekin band ho

Ye dil kyun irado ke jesa nahi

Ke tootay nahi abhi tak woh

Mene jo chaha wo paya hai

Hunar se ghar bhi chalaya ha

Umer se farak nahi padta

Bada wo hai jisne bankay dikhaya hai

Music haram wo bolay

Phir mere uppar kis khuda ka saya hai?

Ghadi naraaz

Wo khadi naraaz ke

Music pe kyun itna time lagaya hai?

Khuwaab to khuwaab hain

Unka poora hona koi zaroori to nahi hai

Khuwaish tou khuwaish hai

Aakhir Zindagi bhi koi majboori to nahi hai

Mujhe ghum de sog de leja ye dil beshak isse tod de

Woh muhabbat he kya jo tum chhor aye

Woh muhabbat tou nahi agar chhor gaye

Tum he guroor thi

Tum main he noor tha

Tum bhi bezaar thi

Mein bhi majboor tha

Ye bhi ek dor hai

Woh bhi ek dor tha

Ye teri khamoshi tou kya wo shor tha

Jisse tu mili wo koi or tha

Par apna milna bhi ab moujza

Mein tou gaano main zindagi gaata hu

Kya pata tumhein pasand ho konsa

 

[Chorus]

Ao na

Ke tum he to ho jeenay ki wajah

Ke bethay bethay kr he dee subha

Na tu aya na he tera hai pata

Hmmm

Sahiba

Mein lene aya hu teri khabar

Tu dekh le jo ab meri taraf

To ho khatam meri bhi ye saza

Hmmm

 

Leave a Reply