BADSHAH – GHAR SE DOOR LYRICS | The Power of Dreams of a Kid
Share this
BADSHAH – GHAR SE DOOR LYRICS | The Power of Dreams of a Kid
Song: GHAR SE DOOR
Album: THE POWER OF DREAMS OF A KID
Singer: BADSHAH
Lyricist: BADSHAH
Music: BADSHAH
Music Production and Mixing & Mastering: ADITYA DEV STUDIO
Video Source.
BADSHAH – GHAR SE DOOR LYRICS.
Baitha Hu Main Flight Mein
Manager Hai Side Mein
Taare Meri Side Mein
Jaga Poori Night Main
Khali Baithun Jo Main
Hoti Anxiety
Paagal Vaagal Lagta Hai
Kya Bolegi Society
Apni Bachchi Se Door Hoon
Dekha Nahi Kab Se
Kaam Kaam Kaam Bas
Door Hua Sabse
Mummy Ka Phone Kaatoon
Kabhi Kabhi Papa Ko Daantoon
Karoon Seedhe Mooh Na Baat Main
Bhoola Apni Aukaat Main
Hua Barbaad Main
Jagun Poori Raat Main
Koyi Nahi Sath Mein
Jagun Poori Raat Main
Apni Hi Yaad Mein
Jagun Poori Raat Main
Dekhun Apne Hath Main
Jagun Poori Raat Main
Apni Hi Yaad Mein
Aye Aye, 6 Shehron Mein Ghar
Phir Bhi Ghar Se Hoon Door Main
Mauj Main Karta Hu Ya Hoon Majboor Main
Kya Hi Karunga Hoke Itna Mashhoor Main
Jo Mitti Mein Hi Milna Hai Sabne
Sounga Tabhi Toh Dekh Paunga Main Sapne
Is Zindagi Se Ab Sar Laga Khapne
Jane Kyun Log Mera Naam Lage Japne
Jinse Mila Bhi Nahi Unki Bhi
Rai Hai Mere Baare Mein
Log Afwaah Hai Failayein Mere Baare Mein
Jalne Wale Gaane Banayein Mere Baare Mein
Mere Maa Baap Ko Baatein Batayein Mere Baare Mein
Aye
Itna Toh Naam Nahi Jitna Badnaam Hu
Fir Bhi Sabkuch Karta Sare Aam Hu
Galiyan Sun Ke Bhi Rehne Laga Calm Hu
Naam Badshah Par Apney Fame Ka Gulaam Hu
Public Figure Hu Public Property Nahi
Main Logon Ke Ravaiye Se Thoda Hairaan Hu
Bilkul Tucche Se Mujhme Bhi Dil Hai
Log Bhool Jaate Hain Ki Main Bhi Insaan Hu
Jagun Poori Raat Main
Koyi Nahi Sath Mein
Jagun Poori Raat Main
Apni Hi Yaad Mein
Jagun Poori Raat Main
Dekhun Apne Hath Main
Jagun Poori Raat Main
Apni Hi Yaad Mein
Top Pe Khada Hoon Phir Phi Rone Ka Mann Hai
Bhag Ke Thakk Gaya Hoon Sone Ka Mann Hai
Jo Bhi Kamaya Sab Khone Ka Mann Hai
Ekdum Se Hi Gayab Hone Ka Mann Hai
Ye Zindagi Bhool Jaane Ka Mann Hai
Phir Se Waapis School Jaane Ka Mann Hai
Duniya Ke Liye Mar Jaane Ka Mann Hai
Mera Wapas Ghar Jane Ka Mann Hai