Talha Anjum – Glass Half Full Lyrics | feat. JJ47 & Talhah Yunus | Prod. by UMAIR
Share this
Talha Anjum – Glass Half Full Lyrics | feat. JJ47 & Talhah Yunus | Prod. by UMAIR
Written & Performed by Talha Anjum, JJ47 & Talhah Yunus
Produced by UMAIR
Mixed & Mastered by Jokhay
Video Source.
Talha Anjum – Glass Half Full Lyrics.
[Verse 1: JJ47]
Bikhrey hue pata nahi Kya kya roz chaley
Tu hai nahi to phir Henny on the rocks chaley
Tu gaya tou phir maza hi nahi mehfilo main
9mm, Sirf gang talk chaley
Tujhe pata saath mere log buht chaley
Jhootay log inkey dil’on main sirf khot chaley
On my own, Zoned out
Kuch pata he nahi
Mujhe ghar puhnchati dua warna saath maut chaley
Dil nadaan phir bhi jaam dhundta hai
Kyun yeh Sooraj sey mukhatib kya yeh shaam dhundta hai
Wo roz karey mehnat inaam dhundta hai
Bade kaam kiye bina bada naam dhundta hai
Lekin
Maza hai he thakaan main
Yeh lafz baney dard jesay Rehta pareshan mein
Gulshan ke phool Murjhaney ko puhanchey
Mein aksar bhool jaata paani daalna guldaan main
Cheezien rehti nahi dehaan main
Smoking too much, Dhuon bhara hai makan main
Seedhi tarah bolun karta asaan mein
Mein badi baatien kar he nahi pata apni shaan main
Bhooley Apna aap hum
Aqs dekhney ko Hamien Aainay zaruri hain
Sab uljha jesi door koi
Tabhi kehta hun mujhe Line’en zaruri hain
Likhney betha tou sirf ghum nikla hai
Rooh meri qabz kya yeh dum nikla hai
Meine jab bhi mein likha, woh hum nikla hai
Bana Yeh muqaddar jab qalam nikla hai
Yeh karam nikla hai, Hum batatey phiren
Wo sun’ney ke shoqeen, Hum gaatey phiren
Ghum itney hue hum chupatey phiren
Tum tortey raho, Hum nibhatey phiren
[Verse 2: Talhah Yunus]
Aaj likhenge kitaab phir
Qalam naraaz kehta aa gayi na yaad phir
Shaayar bane teri khatir
Wohi khwaab, wahi jurm, wahi kaatil
Duniya se aajiz toh baadal banatay
Ye taare chamakte hum lehre phelaatay
Kho chuke apne, apnon ke liye gaatay
Har mehfil sajaatay, par andar se aadhay
Aaj bhi lagay aise jaise mere saath tu
Kehte mujhe star magar mere liye tou star tu
Bache na koi aarzu jab khwabon mein shumaar tu
Yaaro ka yaar apne yaaron ke liye jaan dun
Sabse chota sabse zyada zimmedaariyan
Zamana rou padega choro ye kahaniyan
Aansuon ko khud hi aankhon se chupa liya
Samjhein meine khud ko pathar ka bana liya
Kandhe bhaari itne rakhega koi haath kiyu
Hum doobay tere peeche kia har girte ko yun haath dun
Is kalaa pe hai fakhar magar duniya se naraaz hun
Naa samjhe meri baat tou, kiyu lafzon ka mohtaaj hu
Mein tanha is sehra mein zakham ye gehra khud bharne dein
Jab loug hi munafik tou chehre se padh lete
Seerhi lagate aur unko bhi chadhne dein
Basti ujaagar mere sirf guzarne se
Rahon se waqif tou wapis bikhrane dein
Lafzo ke taajir hain sauda tou kar lete
Hip Hop ki khatir hum ulfat mein mar mitay
Adab be-naseeb ye
Ajab sa adeeb mein
Shayad Khuda ke kareeb mein
Alag dikhta iss bheed mein
Na raha saaya jiske liye dekhe khwab bade
Lahu bahaya hai tabhi tou aaj bebaak khade
Dilon ki zabaan bane
Sochon ko aazad kare
I don’t wanna flow, aaja zindagi ki baat karein
Sabar bara qadar hoti sabko baad mein
Siyahi se jala denge qalam mein itni aag hai
Muntazir inn taaro ke jawaab ke
Jaagu saari raat mein
I drink the pain away
Pray for the better days
Zindagi ki jail mein
I hope that I stay the same, I’m out
[Verse 3: Talha Anjum]
Mere gham mere ghusse pe ab haavi rahein
Aankhein jaagi rahein soche baaghi rahein
Wo rahein tou nahi rahin par hum tou hum hi hain na
Hum tou tere humrahi hum tere humrah hi rahe
I fuck with these words ke ye khud hi kuch bol dein
Ye dill ki tijori ke band raaz khuch khol dein
Zehan jail bro, Isse na rihayi mili
Saara shehar mera gawah, phir bhi na gawahi mili
Kaghazon ko jo siyahi mili
Kitne logo ko meri zaat se hausla-afzai mili
Thank God
Khuda bada baadshah
Wo Khuda mujhe rag-rag se bhi jaanta
Meri sohbaton mein baithe hi nahi jealousy (Nai)
I hope my brothers live to be everything I could never be
Ab mein, J or T baithay dhundein dard ki remedy
The bottle’s empty and still it hurts heavily
You let it go, you let it be
Tou socho ab mein kya karun? (Han)
Glass half full ab mein isme kya bharun?
Urdu rap mera dill aur mein uski shehrag hoon
Nazariye badalte hain yahan pe ladke ku baku
Inko kya khabar mein unke haq mein me kitna behatar hun
Ek din mein legend dusre din mein unka dushman hun
Dono soorton mein lena pade mera naam
Mein dono soorton mein na karun kabhi kalaam
I’m on my own shit ye focus kabhi toota nai
Life on the edge, I wanna go, par mein kooda nai
Mere junoon ko jahil samjhe shouk kiyu
Sab kaan lagayein still nobody to talk too
Sabse yaadgaar raatein sabse zyada vivid (Yeah)
Sabse bade ghum hi dete sabse zyada himmat (Facts)
Sabse bada nahi hu ghar ka par hai bada sabar (Yeah)
Sab batate meri maa ko mujhpe bada fakhar
Like I already did not know (no)
Kitni dekhi pareshaniyan phir karam aur nawazishein
Banawati hum the hi nai, tou chutiye bhi na bane
Industry meri dost nai wo chahay mujhse na mile
Mere yaaro ka iss sabar silaah mile
Mein kitna khush kismat
Ghar aaon wapas maa mile
Ye rishtey wapas na mile
Jam-e-ghafeer mein jaa mile
Ye bheed hamare liye thi aur ab hum iss mein shamil hain
Somedays, (Somedays)
I shed tears from my peers, somedays
I mix whisky with sadness and pain (Yeah)
I take risk jo wo kabhi bhi na lein
And that’s why I’m here (That’s facts)